True story RISHTY
Dua isko aaj kal mustakil apne bhai k rishty k liye isy razi karny ki koshish me lagi thi.
lekin is ka inkar iqrar mein na badla halana ke ami abu bhi is rishte sy kafi khush thy ami ka bas chalta to wo zabrdast is ka rishta Dua k bhai sy karwa deti,
Zahir hai abid in ka sagha bhanja tha.or inko bhuht aziz tha lekin sagha bhnja saghi beti se zyada piyara thori hota hai .wo is rishty k liye apni akloti ladli beti ki marzi ki b khwaish rakhti thi.phr in k shohar ny bhi in ko sakhti sy kaha tha k abid mujhe bhi pasnd hai,Lekin noor ki marzi k bina main is ka rishta tah karny ky huq mein ni hun. beti ko khud sar karne mein sara sar ap ka hath hai.jo woh maa bap ki pasnd ko khatr mein hi nahi la rahi,ami naraz ho kar kehny lagi ,zindgi beti ki hai to pasnd na pasnd bhi usi ki chalni hai abu muskura kar ami ko samjhany lagy
to Bhai ko kab tak talu pehly noor ki study ka bahana tha ab kya kahu ab to khair sy taleem bhi mukamal ho gai hai, bhai sahib ny dubara ye baat chheri hai ab kya jwab du bhai ko.
filhal muhlat mang len.warna smjha kar inkar kar dein, abu piyar sy boly.
saghy bhai ko inkar karna itna hi asan hai kya ammi ye baat sun kar tilmla gai.is masly ka or koi hll nahi abu ka fesla attal tha.ye
ye Abu ka hi piyar tha k noor apne inkar par Qayem thi warna abid sy isko koi zati dushmni ni thi,wo iska first cousin tha,parha likha suljha samjhdar insan tha,Lekin noor ko assal tahfozat apne nanyali khandan k mahol sy tha, parhny likhny k bawjod woh roshan khyali sy koson dor the,masla gaon mein rehny ka nahi tha,masla sochny k andaz ka tha,isa gharrana jahan orton ko na to brrabr ka rutba diya jata naa hi un ki baat ki koi ehmiya thi,
jab k noor k ddyal waly bhi gaon k zimidar the , Lekin un k mukably roshan khyal k the,ammi ki khush kismti k woh us mahol sy nikal kar abu jesy muhabbat karny waly shakhs ki zindgi mein aa gai.or woh apni khush kismti ka iqrar karti or allah ka shukar ada karty na thakti,kiyun wonh apni beti ko isi mahol me bhejna chahti thi jis zindgi sy nijat milny par inho ny sari zindgi sukar ada kiya ,noor ny jab ye sawal ammi sy kiya to un k honton par halki si thaki thaki muskuraht thi,
ami ny kaha noor mujh mein itni himat nahi k apne akloti beti geron k hawaly kar du .ddhyal mein koi tumhara hum umar nahi or nnhyal waly itny maan or muhbbat sy rishta mangh rahy hain, apno mein rishta karu gi to dil ko sakon ho ga,noor tum hi btao apne khandan mein abid jeisa achha larka hai,bazahir to DUA k bhai mein koi burai nahi ammi sab mera dil nahi manta,woh ye kehty ammi k pass sy uth gai thi,
Abid noor sy umar mein do char saal bara tha Lekin is k baraks noor is k naam k sath bhai ka lafz jorti thi,woh bachpan sy hi is k liye Dua ka bhai thi ,Dua Abid ki chhoti behan thi ,or sajid mamu ki beti jo bachpan hi sy noor ki dost thi,jo woh Dua ki hi waja sy chhotiyon k kuch din gaon mein guzarti thi,masom or bholi bhali Dua humesha is k dil k kareeb rahi or DUA bhi noor ko saghi behno ki traha chahti thi, apna har raaz noor ko bttati,DUA pichhly ek saal sy noor k inkar k bary mein janti thi,
noor ki shadi us k bhai sy ho jaye is k liye Dua bhi sartor koshish kar rahi thi, iski dili khawaish thi k iski gehri dost iski bhabi ban jaye,main tum ko kesy samjhaon Dua main tumhare ghar k mahol mein adjust ni ho paaon gi, noor bar bar dua k sawal ka buht rsaniyat sy yehi jwab deti,
or main tum ko kesy samjhu k bhai sy zyada khyal rakhny wala or muhbbat karny wala shohar tum ko ni mily ga,han jesy tumhari haweli mein sary mard apni beewiyon sy muhbbat karty hain in ny tanziya andaz mein kaha,
mera bhai haweli k sub mardon sy mukhtalif hai, Dua ko is k andaz par hansi aa gai par hansty hoye bhi is ny apne bhai ki wqaalat na chhori,
tumhary beyan par yaqeen karny ki koi waja , kya ye waja kafi nahi k mera bhai haweli k sub mardu sy zyada apni maa or behan ka khyal rakhta hai,acha ab tum apne bhai ka muqdma larna band karo or apni sunao, tumhari khala ny aana tha naa taha ka rishta ly kar, nahi aai kya? noor ny mozo hi badl dala.
ab khamosh hony ki bari Dua ki thi , kya hua Da khala aai thi naa? Dua ki khamoshi sy woh buht ghabra gai thi. Taha Dua ki khala ka beta tha. or Dua ki muhbbat bhi tha, bas Dua k ghar walon sy thora gareeb tha, Taha ki ami dono ki chahat sy bakhobi wakif thi , woh janti thi k behan or behnoi in k bete k rishty ko qabool ni kare gy , is liye woh rishta mangny sy hichkcha rahi thi, or Taha ny Dua ko yaqeen dilaya tha k woh maa ko rishta leny zrror bhejy ga agye hum dono ka naseeb , noor ye sub janti thi is liye ghabra kar Dua ko puchh rahi thi Taha ny wadah pura kiya
Taha ny apna wada pura kiya noor khala ny ammi or baba k samnay Taha ka rishta rakha to baba ny kaha k Dua k liye or bhi teen rishty aaye hain or soch samjh kar woh jawab dein gaye . tum kya cheez ho Dua mujhe apne bhai k liye mananye mein lagi ho or khud par kya beet rahi hai ye btaya hi ni noor ny narazgi sy kaha ab bta to diya hai,tum bhi pareshan hony k siwah kya kar sakti ho.theek hai me kuch ni kar sakti lekin woh tumhara bhai jis ki waqalat karty karty tum mera sar kha jati ho kya woh apni akloti behan k liye stand ni ly sakta mamu jaan ko mana nahi sakta k Taha
ke liye haan kar dein, noor ny tanziya andaz mein Dua ko kaha ,fesly ka ikhtyar to sirf baba jaan k paas hai bhai bechary kya kar sakty hainwoh dukhy dil sy boli ,to tum is bechary ko mere pally bandhna chah rahi ho ,jo insha apni akloti behan ki khoshi k liye koi stand ni ly sakta us ki b.v ki kushiyon ki guarenty kon dy ga noor puchh rai thi,bhai ko kya pata k main Taha ko pasnd karti hon,is ny dheemy lehjay mein ab bhi apne bhai ki wqalat ki, nahi pata to btao sirf ek wo hi hai jis ki baat mamu jaan par asar andaz ho ginoor ny Dua ko samjhana chaha. Main bhai ko ye btau k main Taha sy muhbbat karti hun
Dua ny ye fikra bolty huye yaqenan ankheny phadi hon gi, to is mein harj hi kya hai bhai hai woh tumhara zindgi k is mor par isye tumhari support karni chahiye ,agr mamu Taha k rishty sy inkar bhi karty hain toh tumhary bhai ko is fesly k khilaf tan kar khara ona chaiye,
bhai baba jaan ka bhut addab-o-ehtram karty hain noorbaba k kisi fesly k kilaf bagawt nahi kar sakty , Dua dheery sy boli,
main tumhen keh don dua aaj k bad tum apne bhai k rishty k liye kabi mujhe kayel karny ki koshish naa karna noor ny is bar gussa karty hoye phone band kar diya, ye gussa Dua ki bebasi par tha kita chahti thi wo Taha ko or is ki chahat pany k liye naa khud heemat dikha rahi thi naa kisi sy help ly rahi thi,gussa kam hua to ek pachhtaway ny noor ko apne lapety mein ly liya is waqt Dua ko is ki dharas ki zrrorat thi kya tha k woh taslli k do bol bol deti, chahy jhoty hi sahi,is ny apni hum joli ko dubara phone karna chaha lekin rok gai kiyon k ammi abu ko do din bad islamabad jana tha ,or ammi abu jab bhi islamabad jaty woh apny chacha k ghar rehti,
lekin is bar is ny gaon jany ka fesla kiya ammi bhi is k is fesly par buhat khush thi,achhi bat hai 4,5 din wahan rehna Abid k sath baat cheet karna ho sakta hai thmhein fesla leny mein assani ho,
Driver isye gaon chhor aaya tha ,humesha ki tarha is ka purjosh istakbal kiya gaya , Dua bhi is ki achchanak aamad par heran reh gai ,bas muje laga meri dost ko meri zrort hai main aa gai is ny piyar sy Dua ko dekha tha,mujhe such mein tumhari zrrorat thi noor kam sy kam ek kandha to isa ho jis par main apna sar rakh kar roo lu,kiyon kya final fesla ho gaya,kal o jaye ga, baba jaan kal apne bhaiyon ko akatha karein gy or teeno prposal par gor karye gaye or kisi ek ko muntkhib kar ly gaye,lekin kiyon noor chekhi thi,raat baba jaan or ko baat karty suna tha k woh teeno rishton ko discuss kary gaye ,is khandani meeting mein meri ammi ko nai bulaya gaya woh heran hui,
phopho haweli ki beti hain in mamlat mein betiyon sy mashwrah ni liya jata, or tumhara bhai to is haweli ka beta hai woh tumhary liye kuch nahi kar sakta,bhai ka yahan kya zikar Dua ny nigahain churaiis ki benasi par noor ko rona aa gaya,achha tump paresham mat ho hum dono mil kar dua karey gaye jo bhi fesla ho allah is fesly ko tumhary liye behtar sabit kary,
noor ka jab Abid sy samna hua to woh akela naa tha chhoty mamu ka beta naveed us k sath tha,dono haweli k kisi kaam sy bahir jaa rahy thy , noor ko dekh kar abid ruk gaya, shaystgi sy Abid ny noor ka haal pucha ammi abu ki kheriyat jani,rasmi si baat cheet k bad woh chala gaya,
noor is ki chori pusht ko dekhti reh gai,kitna shandar shakhs tha ,kash wo is haweli ka makeen naa hota, dil ki is unhoni si khawaish par woh heran reh gai,
agly hi din Dua ki kismat k fesly k liye meeting bulai gai,Dua bhi safed party chehry k sath apni kismat k fesly ki muntzir thi,sub hi apni apni raye dy rahy thy, behas jab tol pakr gai to bhai ny mudakhlat ki,ap sub is fesl kon anjam tak puhnchany k liye dada jaan wala treeka ikhtyar kiyon ni karty,dada JAAN KO BHI jab koi masla pesh atta to wo qurah dal kar kisi fesly par puhanchty thy,
OH, mere khuda Dua ki zindgi ka fesla ab qura andazi sy ho ga,noor ko sub sy zyada herat tab hui jab hal mein bethy sub afrad ny Abid ki bat sy itfak kiya
mulazam ko awaz dy kar khuly moo wala ek jar mangwaya .ab Abid kagaz par umeedwaron k naam likh raha tha,khala jaan bhi to Taha ka rishta ly ka ai thi agr ap kahy to Taha ka naam bhi dal du,hanhan larka to woh bhi achha hai is ka bhi naam likh lo
Dua ny jab ye suna to is k chehry par khushi k kobsorat rang bikhar gaye,noor ny dil sy is k liye dua ki thi,noor ny drwazy ki jhari sy andar jhanka ,Abid jar me parchiyan dal raha tha.kitna buzdil shakhs hai pta bhi hai behan Taha ko psnad karti hai phr bhi apni akloti behan k liye koi stand ni ly raha..
Abid ny jar mein parchiyan dali or achhi trha hila di. noor ko ye sub dekh ra buht gusa aaya. jo qurah nikly ga wohi akhri fesla ho ga naa bhai jaan choty mamu bary mamu jaan sy puch prahy thy.inho ny asbat mein sar hilaya,
Aa jao Dua dekho tumhari kismat ka fesla hony ja raha hai ab noor ki jaga Dua aan khari thi,or noor ye soch rahi thi k is frsodha rasmo riwaj rakhny walye logo mein meri shadi karna chahti hain, Taha itny mein bary mamu ki ba rob awaz gonji ,reyan ny parchi nikal kar mamu ko di thi ,or parchi khol kar inho ny sub ko is naam sy aagah kiya tha , Dua ki khoshi k mary chekh nikal gai josh or khushi mein woh noor sy lipat gai,dekha dua Allah pak ny humari dua sun li,Taha bht acha larka hai baba jaan ap kiyon pareshan ho rahy hain ,mujhe yaqeen ai woh humariDua ko umesha khush rakhy ga,
han beta fesla to ho gaya ab Allah sy ye hi dua hai k is fesly ko humare huq mein behtreen sabit kary.noor ny ghar ki sub khawateen ko ye khabr sunnai jo sehan mein bethi thi or Dua ny shukrany k nafil adda karny k liye janmaz sambhali,sehan sy hoti hui noor ab hal waly kamre ki tarf nikal ai thi ab wahan koi bi majod nahi tha, room k wast mein shishy ka jar para tha is ny bina irada ek parchi nikali us par Taha ka naam tehreer tha ye kya Taha k naam ki parchi toh nikal chuki hai is ny ek or parchi nikali us par bhi Taha ka hi naam tha,itny mein qadmu ki chap sunai di,
noor ny hwas bakhta ho kar sub parchiyan muthi mein band kar li,any wala shakh Abid tha jo yaqeenan sabot mitany aaya tha,noor ko dekh kar woh pareshan ho gaya,phr is ny khali jar par nigha dali, agli swaliya nigha is ny noor par dali to noor ny apni hatheli khol kar us k samny kar di , dono chand lamhe chup rahy phr Abid ny kaha shukar hai ye tum thi,
noor ny kaha ek game play k zariye ap ny apni behan ko is ki khushiyan dilwai kya ye kaam sidhye tarike sy nahi ho sakta tha? is ka toh ye hi matlab hai k ap mein himat or jurrat ki kami hai , noor ny tanz kiya,Abid k face par shandar muskuraht bikhar gai , jesy k is ny noor ka tanz enjoy kiya tha, meri baat ka jawab ni hai naa ap k paas noor is muskuraht par tap gai,
zahant k bal par jo kaam asani sy ho sakta tha ,jurat or himmat dikha kar is kaam mein mushkil peda karna meri nazar mein himakat hai,likin agr jurat or himmat hi wahid option hota to is ka muzahira karny mein bhi mujhe koi pareshani naa hoti,kiyon k mujhe apni behan ki khushiyan har cheez sy azeez hain woh sadha sy andaz mein kehta waha sy chala gaya ,
do maah bad Dua or Taha ki mangni k sath Abid or Noor ki mangni ki bhi rasm ada ki gai noor ny ye fesla puri khushi sy kiya ,Dua k bhai jesy shakh ka sath thukrana ek humakat hi thi or shukar hai noor ye humakat krany sy bach gi.
Post a Comment