ek aarzu ALLAMA IQBAL
ek aarzu
duniyā kī mahfiloñ se uktā gayā huuñ yā rab
kyā lutf anjuman kā jab dil hī bujh gayā ho
shorish se bhāgtā huuñ dil DhūñDtā hai merā
aisā sukūt jis par taqrīr bhī fidā ho
martā huuñ ḳhāmushī par ye aarzū hai merī
dāman meñ koh ke ik chhoTā sā jhoñpaḌā ho
āzād fikr se huuñ uzlat meñ din guzārūñ
duniyā ke ġham kā dil se kāñTā nikal gayā ho
lazzat sarod kī ho chiḌiyoñ ke chahchahoñ meñ
chashme kī shorishoñ meñ baajā sā baj rahā ho
gul kī kalī chaTak kar paiġhām de kisī kā
sāġhar zarā sā goyā mujh ko jahāñ-numā ho
ho haath kā sirhānā sabze kā ho bichhaunā
sharmā.e jis se jalvat ḳhalvat meñ vo adā ho
mānūs is qadar ho sūrat se merī bulbul
nanhe se dil meñ us ke khaTkā na kuchh mirā ho
saf bāñdhe donoñ jānib buuTe hare hare hoñ
naddī kā saaf paanī tasvīr le rahā ho
ho dil-fareb aisā kohsār kā nazāra
paanī bhī mauj ban kar uTh uTh ke dekhtā ho
āġhosh meñ zamīñ kī soyā huā ho sabza
phir phir ke jhāḌiyoñ meñ paanī chamak rahā ho
paanī ko chhū rahī ho jhuk jhuk ke gul kī Tahnī
jaise hasīn koī ā.īna dekhtā ho
mehñdī lagā.e sūraj jab shaam kī dulhan ko
surḳhī liye sunahrī har phuul kī qabā ho
rātoñ ko chalne vaale rah jaa.eñ thak ke jis dam
ummīd un kī merā TuuTā huā diyā ho
bijlī chamak ke un ko kuTiyā mirī dikhā de
jab āsmāñ pe har sū bādal ghirā huā ho
pichhle pahr kī koyal vo sub.h kī mo.azzin
maiñ us kā ham-navā huuñ vo merī ham-navā ho
kānoñ pe ho na mere dair o haram kā ehsāñ
rauzan hī jhoñpaḌī kā mujh ko sahar-numā ho
phūloñ ko aa.e jis dam shabnam vazū karāne
ronā mirā vazū ho naala mirī duā ho
is ḳhāmushī meñ jaa.eñ itne buland naale
tāroñ ke qāfile ko merī sadā dirā ho
har dardmand dil ko ronā mirā rulā de
behosh jo paḌe haiñ shāyad unheñ jagā de
Post a Comment